barsoñ  purāne  zaḳhm  ko  be-kār  kar  diyā
ham  ne  tirā  javāb  bhī  tayyār  kar  diyā
tauq-e-badan  utaar  ke  pheñkā  zamīñ  se  duur
duniyā  ke  saath  chalne  se  inkār  kar  diyā
ḳhud  hī  dikhā.e  ḳhvāb  bhī  tausī-e-shahr  ke
jañgal  ko  ḳhud  hī  chīḳh  ke  hushiyār  kar  diyā
jamhūriyat  ke  biich  phañsī  aqaliyat  thā  dil
mauqa  jise  jidhar  se  milā  vaar  kar  diyā
aa.e  the  kuchh  sitāre  tirī  raushnī  ke  saath
ham  apne  hī  nashe  meñ  the  inkār  kar  diyā
vo  niiñd  thī  ki  maut  mujhe  kuchh  pata  nahīñ
gahre  ghane  sukūt  ne  bedār  kar  diyā
ham  ā.īne  ke  sāmne  aa.e  to  ro  paḌe
us  ne  sajā-sañvār  ke  be-kār  kar  diyā