Aatish Indori

shajar jis pe main rahta hun use kaTa nahin karta

Aatish Indori

Uttar pradesh, India

1977
shajar jis pe maiñ rahtā huuñ use kaaTā nahīñ kartā
maiñ 'ātish' mulk se sapne meñ bhī dhokā nahīñ kartā
banāte kaise haiñ miTTī se sonā mujh ko aatā hai
magar maiñ dosto aisā koī da.avā nahīñ kartā
bhulā dete haiñ log aksar mohabbat meñ kiye va.ade
tabhī to jaan maiñ tum se koī va.adā nahīñ kartā
maiñ ik būḌhā shajar jis ko javāñ rakkhā parindoñ ne
tabhī to maiñ parindoñ se koī shikva nahīñ kartā
uḌāneñ dekhnī haiñ gar to merī shā.irī dekho
parinda huuñ maiñ par aisā kabhī da.avā nahīñ kartā
Top Urdushayar.com