na.e  charāġh  kī  lau  paañv  se  lipaTtī  hai
magar  vo  raat  kahāñ  rāste  se  haTtī  hai
maiñ  ḳhānqāh-e-badan  se  udaas  lauT  aayā
yahāñ  bhī  chāhne  vāloñ  meñ  ḳhaak  baTtī  hai
zarā  sā  sach  bhī  kisī  se  kahā  nahīñ  jaatā
zarā  sī  baat  pe  gardan  hamārī  kaTtī  hai
ye  kis  ke  paañv  rakhe  haiñ  havā  ke  siine  par
agar  maiñ  saañs  bhī  letā  huuñ  umr  ghaTtī  hai
abhī  bahut  haiñ  andheroñ  ko  pūjne  vaale
yahāñ  charāġh  bujhāo  to  raat  kaTtī  hai