Nomaan Shauque

Dubne wala hi tha sahil baramad kar liya

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965

Dūbne vaalā thā sāhil barāmad kar liyā

us ne bil-āḳhir hamārā dil barāmad kar liyā

vo badan bhiik dene par huā raazī to maiñ

apnī ḳhush-hālī meñ ik saa.il barāmad kar liyā

ham talāsh-e-haq meñ nikle aur sharminda hue

us ne ā.īne se bhī bātil barāmad kar liyā

ishq ke munkir the ham to ye jahāñ nāpaid thā

jab hue isbāt par maa.il barāmad kar liyā

aag ke dariyā meñ kar ke raqs jab ham thak ga.e

raakh ke ik Dher se sāhil barāmad kar liyā

kaun kahtā hai ki ham ma.asūm buzdil log haiñ

us ne to har ghar se ik qātil barāmad kar liyā

Top Urdushayar.com