Jamuna Parsad Rahi

KHun-girafta ho to KHanjar ka badan dukhta hai

Jamuna Parsad Rahi

ḳhūñ-girafta ho to ḳhanjar kā badan dukhtā hai
panja-e-ḳhair meñ hī shar kā badan dukhtā hai
paikar-e-nīm-shikasta huuñ karo tesha-zanī
bārish-e-gul se ye patthar kā badan dukhtā hai
kaun hai tujh sā jo bāñTe mirī din bhar kī thakan
muzmahil raat hai bistar kā badan dukhtā hai
mustaqil shorish-e-tūfāñ se rageñ TūTtī haiñ
zabt-e-paiham se samundar kā badan dukhtā hai
zaḳhm-ḳhurda dar o dīvār kī hālat hai ajab
sirf aahaT se mire ghar kā badan dukhtā hai
qīmat-e-jāñ kī tavaqqo kaf-e-qātil se kahāñ
ḳhūñ-bahā ye hai ki ḳhanjar kā badan dukhtā hai
dard maujoñ kī rifāqat kā baḌā hai shāyad
qurb-e-sāhil se shanāvar kā badan dukhtā hai
Top Urdushayar.com