Jamuna Parsad Rahi

parinde lauT ke jab ghar ko jaane lagte hain

Jamuna Parsad Rahi

parinde lauT ke jab ghar ko jaane lagte haiñ

hameñ bhī yaad dar-o-bām aane lagte haiñ

fasīl-e-sarhad-e-māzī dhaḌakne lagtī hai

jo ḳhvāb niiñd dar khaTkhaTāne lagte haiñ

hubāb dhuup bārish meñ phūTte bante

sabāt-e-zāt matlab batāne lagte haiñ

sar-e-mahāz tire aate harīf mire

ye mere haath mujhe āzmāne lagte haiñ

tire ḳhayāl mahfil jo sajne lagtī hai

qarīb-e-hāl guzishta zamāne lagte haiñ

jo āsmān ko zid hai to kam nahīñ ham bhī

ki bād-e-barq na.e ghar banāne lagte haiñ

jo sunte haiñ ki tire shahr meñ dashrā hai

ham apne ghar meñ divālī sajāne lagte haiñ

sunī-sunā.ī har ik kahānī lagtī hai

na.e haiñ lafz ma.ānī purāne lagte haiñ

Top Urdushayar.com