Farooq Banspari

jo raha yun hi salamat mera jazb-e-walhana

Farooq Banspari

Banspar, Uttar pradesh, India

1907-1968

jo rahā yuuñ salāmat mirā jazb-e-vālhāna

mujhe ḳhud karegā sajda tirā sañg-e-āstāna

rah-e-haq ke hādsoñ na sunā mujhe fasāna

tirī rahbarī ġhalat thī ki bahak gayā zamāna

maiñ jahān-e-hosh-o-irfāñ ba-libās-e-kāfirāna

ba-hijāb-e-pārsā.ī hama sharāb-ḳhāna

tujhe yaad hai sitamgar koī aur bhī fasāna

vahī zikr-e-āb-o-dāna vahī fikr-e-tā.erāna

mirī zindagī mahvar yahī soz-o-sāz-e-hastī

kabhī jazb-e-vālhāna kabhī zabt-e-ārifāna

tirā jazba-e-rifāqat mirā saath kaise degā

ki maiñ zinda-e-kohistāñ halāk-e-āshiyāna

mirī bazm-e-fikr meñ hai yahī kashmakash azal se

kabhī chhā ga.ī haqīqat to kabhī jam gayā fasāna

vo bajā.e aah 'fārūq' abhī vaah kar rahe haiñ

abhī dard se hai ḳhālī ye navā-e-āshiqāna

Top Urdushayar.com