Farooq Banspari

dil-e-iza-talab le tera kahna kar liya maine

Farooq Banspari

Banspar, Uttar pradesh, India

1907-1968
dil-e-īzā-talab le terā kahnā kar liyā maiñ ne
kisī ke hijr meñ jiinā gavārā kar liyā maiñ ne
but-e-paimāñ-shikan se intiqāman hī sahī lekin
sitam hai vāda-e-tark-e-tamannā kar liyā maiñ ne
niyāz-e-ishq ko sūrat na jab koī nazar aa.ī
junūn-e-bandagī meñ ḳhud ko sajda kar liyā maiñ ne
vafā-nā-āshnā is sādgī kī daad de mujh ko
samajh kar terī bātoñ par bharosā kar liyā maiñ ne
mohabbat be-bahā shai hai magar taqdīr achchhī thī
mata-e-do-jahāñ de kar ye saudā kar liyā maiñ ne
milā to diid kā mauqā magar ġhairat ko kyā kahiye
jab aa.ī vādi-e-aiman to pardā kar liyā maiñ ne
baḌī daulat hai haq ke naam par daulat luTā denā
jahāñ meñ phūñk kar chāndnī ko sonā kar liyā maiñ ne
kisī ke ek dard-e-bandagī se kyā milī fursat
ki dil meñ sau tarah kā dard paidā kar liyā maiñ ne
tamāshā dekhte hī dekhte un kī adāoñ kā
sar-e-mahfil ḳhud apne ko tamāshā kar liyā maiñ ne
kisī kī raah meñ 'fārūq' barbād-e-vafā ho kar
burā kyā hai ki apne haq meñ achchhā kar liyā maiñ ne
Top Urdushayar.com