Farooq Banspari

KHushi se phulen na ahl-e-sahra abhi kahan se bahaar aai

Farooq Banspari

Banspar, Uttar pradesh, India

1907-1968
ḳhushī se phūleñ na ahl-e-sahrā abhī kahāñ se bahār aa.ī
abhī to pahuñchā hai ābloñ tak mirā mazāq-e-barhana-pā.ī
tire mufakkir samajh na paa.e mizāj-e-tahzīb-e-mustafā.ī
usūl-e-johd-e-baqā ke bande buland hai zauq-e-ḳhud-fanā.ī
ḳhalīl mast-e-mai-e-junūñ thā magar maiñ tum se ye pūchhtā huuñ
razā-e-haq kī chhurī ke nīche hayāt aa.ī kī maut aa.ī
jo qillat-e-sīm-o-zar kā ġham hai to aao qaisar ke jānashīno
tumhārī ḳhātir zarā jhukā duuñ maiñ apnā ye kāsa-e-gadā.ī
bajā tirā nāz-e-be-niyāzī magar ye insāf bhī nahīñ hai
ki terī duniyā meñ tere bande butoñ kī dete phireñ duhā.ī
nadīm tārīḳh-e-fat.h-e-dānish bas itnā likh kar tamām kar de
ki shātirān-e-jahāñ ne āḳhir ḳhud apnī chāloñ se maat khaa.ī
chalo ki 'fārūq' mai-kade meñ dimāġh taaza to pahle kar leñ
phir aa ke ahl-e-haram ko deñge payām-e-tajdīd-e-pārsā.ī
Top Urdushayar.com