kaho  ki  tuur  pe  jaltā  rahe  charāġh  abhī
mujhe  sharāb  se  hāsil  nahīñ  farāġh  abhī
abhī  to  bāda-parastī  mirī  shabāb  pe  hai
ravish  ravish  hai  mire  dam  se  baaġh  baaġh  abhī
jo  sub.h-e-vasl  tire  gesuoñ  se  Tapkī  thī
mahak  rahā  hai  usī  baaġh  se  dimāġh  abhī
qayām-e-hashr  zarā  aur  multavī  kar  do
ki  mai-kade  meñ  khanakte  haiñ  kuchh  ayāġh  abhī
abhī  jahannam-e-duniyā  meñ  aur  jalne  do
mirī  jabīn-e-baġhāvat  hai  daaġh  daaġh  abhī
nahīñ  hai  fursat-e-tauba  sharāb  se  'maz.har'
ki  faiz-e-yār  se  labrez  hai  ayāġh  abhī