hasr-āfrīñ  hai  kūcha-e-jānāna  āj-kal
bahkī  huī  hai  ḳhū-e-muhibbānā  āj-kal
phir  bik  rahī  hai  jins-e-vafā  kauḌiyoñ  ke  mol
phir  har  vafā-shi.ār  hai  begāna  āj-kal
phir  uTh  rahī  haiñ  dasht-o-bayābāñ  kī  raunaqeñ
phir  har  junūñ-frosh  hai  farzāna  āj-kal
phir  shola-kār  haiñ  chamanistān-e-lāla-zār
phir  bijliyāñ  haiñ  raunaq-e-kāshāna  āj-kal
phir  har  junūñ-sarisht  ḳhirad  se  hai  bahra-var
phir  kho  gayā  taqaddus-e-vīrāna  āj-kal
har  dil  meñ  jalva-rez  hai  phir  jazba-e-ḳhudī
anqā  hai  etibār-e-mulūkāna  āj-kal
phir  miT  ga.e  diloñ  se  junūñ-kār  valvale
phir  be-navā  haiñ  salma-o-rehāna  āj-kal
phir  sātgīñ  uñDel  ke  saaqī  ne  rakh  diye
uThtī  hai  har  nigāh  harīsāna  āj-kal
afsāna  ban  ga.ī  vo  raqābat  vo  chashmakeñ
dast-e-karam  hai  dast-e-harīsāna  āj-kal
'maz.har'  hadīs-e-dard  hai  apnī  har  ek  baat
har  ashk-e-ġham  hai  ġhairat-e-durdāna  āj-kal