zamāne-bhar  meñ  koī  bhī  vafā-sipās  nahīñ
ḳhudā-shanās  bahut  haiñ  adā-shanās  nahīñ
mirī  nazar  kā  har  andāz  hai  jamāl-āgīñ
mire  junūñ  kā  koī  marhala  udaas  nahīñ
mire  ḳhayāl  kī  rañgīniyāñ  haiñ  lā-mahdūd
ye  qaid-o-band  shab-o-roz  mujh  ko  raas  nahīñ
kuchh  is  adā  se  maiñ  khoyā  gayā  mohabbat  meñ
zamāna  biit  gayā  hai  bajā  havās  nahīñ
dar-e-jamāl  pe  maz.har  sujūd  kyā  ma.anī
vaqār-e-ishq  shanāsa-e-iltimās  nahīñ