aap  kī  shoḳhī-e-inkār  na.ī  baat  nahīñ
ye  to  ma.amūl  hai  sarkār  na.ī  baat  nahīñ
aap  ko  ḳhūn-e-tamannā  pe  ta.ajjub  kyuuñ  hai
roz  mar  jaate  haiñ  bīmār  na.ī  baat  nahīñ
choT  paḌtī  nahīñ  ehsās  pe  ab  muddat  se
aap  kī  talḳhī-e-guftār  na.ī  baat  nahīñ
husn-e-iḳhlās  ke  badle  meñ  junūñ  miltā  hai
aam  hai  shāmat-e-kirdār  na.ī  baat  nahīñ
pursish-e-hāl  ke  ba.ad  un  ko  taraddud  kaisā
kah  chuke  ham  to  ka.ī  baar  na.ī  baat  nahīñ