Syed Mazhar Gilani

qadam qadam pe wafa ka dayar rah mein hai

Syed Mazhar Gilani

qadam qadam pe vafā dayār raah meñ hai

ḳhushā ki naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār raah meñ hai

har ek mauj meñ sāz-e-fareb hai jis

vo ik sarāb ba-har-e'tibār raah meñ hai

ye uḌ rahī hai jo ḳhūñ-rañg ḳhaak har jānib

kisī shahīd-e-junūñ mazār raah meñ hai

na koī baat na maqsad na aarzū na savāl

bas ek ġhalġhala-e-gīr-o-dār raah meñ hai

sukūn-e-shab hama naġhma fazā-e-shab hama nuur

magar abhī koī shab-zinda-dār raah meñ hai

pahuñch chuke haiñ idhar ham-safar sar-e-manzil

udhar abhī ḳhalish-e-intizār raah meñ hai

qadam qadam pe garebāñ qadam qadam pe lahū

yahī to ek subūt-e-bahār raah meñ hai

tirī talab ke taqāze tire husūl ke ḳhvāb

tirī talāsh bahar-e'tibār raah meñ hai

Top Urdushayar.com