dil  kī  qismat  ki  tire  dil  meñ  samo  bhī  na  sakā
aur  tā-zīst  kisī  aur  kā  ho  bhī  na  sakā
ġham-e-paiham  ne  kabhī  fursat-e-ehsās  na  dī
kyā  javānī  thī  ki  jī-bhar  ke  maiñ  ro  bhī  na  sakā
paar  bhī  kar  na  sakā  bahr-e-junūñ  se  kam-baḳht
aur  dil  ziist  kī  kashtī  ko  Dubo  bhī  na  sakā
umr-bhar  ahd-e-vafā  tishna-e-takmīl  rahā
maiñ  use  pā  na  sakā  vo  mujhe  kho  bhī  na  sakā
jāgne  bhī  na  diyā  shauq-e-tasavvur  ne  kabhī
aur  'maz.har'  maiñ  kabhī  raat  ko  so  bhī  na  sakā