merī  rātoñ  meñ  phir  ik  baar  sitāre  chamke
merī  āñkhoñ  meñ  dil-āvez  nazāre  chamke
phir  fazāoñ  meñ  machaltā  huā  paatā  huuñ  shabāb
phir  bujhī  aag  meñ  do-chār  sharāre  chamke
phir  lab-e-bām  chamaktī  huī  āñkheñ  dekhīñ
phir  gunāhoñ  ke  havas-kār  ishāre  chamke
jin  sitāroñ  kī  chamak  ne  mujhe  taḌpāyā  thā
merī  taqdīr  pe  vo  rashk  ke  maare  chamke
phir  surāhī  ne  irādoñ  ko  javānī  baḳhshī
ḳhushk  sāġhar  ke  phir  ik  baar  kināre  chamke
chāñd  itnā  na  chamaktā  kabhī  dekhā  saaqī
mai-kade  meñ  jo  subū  raat  tumhāre  chamke
jin  sitāroñ  kī  chamak  maañd  paḌī  thī  'maz.har'
vo  sitāre  mirī  āñkhoñ  ke  sahāre  chamke