ab  kyuuñ  harīm-e-nāz  meñ  sarmastiyāñ  nahīñ
ham  vo  nahīñ  ki  aap  meñ  vo  shoḳhiyāñ  nahīñ
dil  hī  nahīñ  jo  soz-e-junūñ  se  tapāñ  nahīñ
kyā  zindagī  jo  vaqf-e-ġham-e-jāvedāñ  nahīñ
har-vaqt  ab  to  jaib-o-garebāñ  haiñ  chaak  chaak
ehsās  ehtimām-e-bahār-o-ḳhizāñ  nahīñ
ajzā-e-hast-o-būd  mohabbat  meñ  kho  ga.e
ik  vahm  hai  so  us  kā  bhī  koī  gumāñ  nahīñ
kaunain  mere  panja-e-vahshat  kī  zad  meñ  haiñ
mere  junūñ  kī  qaid  makāñ  lā-makāñ  nahīñ
go  ārzū-e-jur.at-e-rindāna  hai  magar
hāsil  ba-qadr  zauq  ma-e-arġhavāñ  nahīñ
maiñ  pā.emāl-e-vāda-e-fardā  zarūr  huuñ
lekin  fareb-ḳhurda-e-nāz-e-butāñ  nahīñ
ifshā-e-rāz-e-ishq  kā  azm-e-buland  hai
'maz.har'  ab  aur  tāqat-e-zabt-e-fuġhāñ  nahīñ