Kashif Husain Ghair

ahwal pochhiye mera aazar jaaniye

Kashif Husain Ghair

Karachi, Sindh, Pakistan

1979
ahvāl pochhiye mirā āzār jāniye
zanjīr dekh kar na giraftār jāniye
afsos jā chukā hai ghaḌī dekhne kā vaqt
ab dhuup se hī vaqt kī raftār jāniye
hañsiye janāb der tak ab apne aap par
kis ne kahā thā ḳhud ko samajhdār jāniye
kuchh der baiTh jā.iye dīvār ke qarīb
kyā kah rahā hai sāya-e-dīvār jāniye
āsāñ nahīñ hai jānñā is shahr kā mizāj
sau baar dekhiye use sau baar jāniye
kyā rabt-e-ḳhās aap ko kār-e-jahāñ se hai
achchhā to aap bhī mujhe bekār jāniye
'kāshif'-husain ḳhuub hī hote haiñ ahl-e-ishq
is paar bhī khaḌe hoñ to us paar jāniye
Top Urdushayar.com