na.e  ḳhvāboñ  se  Dar  lagne  lagā  hai
ye  rasta  pur-ḳhatar  lagne  lagā  hai
ye  kaisā  daur  aayā  be-hisī  kā
mujhe  zindān  ghar  lagne  lagā  hai
bichhaḌ  jā.egā  tū  mujh  se  kisī  din
na  lagtā  thā  magar  lagne  lagā  hai
zarā  dekho  mirī  saada  tabī.at
ki  qātil  chāragar  lagne  lagā  hai
safar  meñ  ham-safar  tum  kyā  hue  ho
safar  ab  muḳhtasar  lagne  lagā  hai
'ḳhalīl'  us  se  tumheñ  nafrat  thī  lekin
tumheñ  kyuuñ  mo'atabar  lagne  lagā  hai