koī  to  chāhiye  ham  ko  sahārā  tere  ba.ad
udaas  udaas  rahā  shahr  saarā  tere  ba.ad
jo  āsmāñ  pe  hamāre  liye  chamaktā  thā
vo  mujh  se  ruuTh  gayā  hai  sitāra  tere  ba.ad
lagā  ke  zaḳhmoñ  pe  marham  tumhārī  yādoñ  kā
kuchh  aise  dil  ko  mirī  jaañ  sañvārā  tere  ba.ad
tū  saath  thā  to  maiñ  sab  jheltā  thā  duniyā  ko
kisī  ke  naaz  karūñ  kyuuñ  gavāra  tere  ba.ad
hazāroñ  log  mire  ḳhair-ḳhvāh  the  lekin
kisī  ko  bhī  nahīñ  maiñ  ne  pukārā  tere  ba.ad
'ḳhalīl'  apne  muqaddar  meñ  ab  ḳhushī  hī  nahīñ
maiñ  har  kisī  se  laḌā  aur  haarā  tere  ba.ad