fasīl-e-shahr  pe  likkhī  hai  dāstāñ  merī
maiñ  kaise  baat  karūñ  qaid  hai  zabāñ  merī
mohabbatoñ  ke  bhī  ye  silsile  ajiib  se  haiñ
judā  hai  mujh  se  magar  phir  bhī  hai  vo  jaañ  merī
maiñ  apne  shahr  meñ  rah  kar  bhī  ajnabī  sā  rahā
ki  koī  suntā  nahīñ  baat  bhī  yahāñ  merī
jo  jaan  letā  thā  andar  kā  haal  āñkhoñ  se
use  sunā.ī  nahīñ  detīñ  siskiyāñ  merī
ḳhudāyā  terā  karam  hai  ki  mujh  ko  izzat  dī
vagarna  itnī  bhī  auqāt  thī  kahāñ  merī