Hakeem Manzoor

apni nazar se TuT kar apni nazar mein gum hua

Hakeem Manzoor

apnī nazar se TuuT kar apnī nazar meñ gum huā
vo baḌā bā-shu.ūr thā apne hī ghar meñ gum huā
marg-zada the rañg sab aa.ine pusht-e-chashm the
ik vahī dard-mañd thā ḳhauf-o-ḳhatar meñ gum huā
rāste ā.īne bane paañv tamām rañg the
is pe bhī ye savāl vo kaise safar meñ gum huā
soch havās meñ na thī aañkh hudūd meñ na thī
peḌ havā meñ uḌ ga.e saañp khañDar meñ gum huā
har ḳhabar us se thī ḳhabar aur vo be-panāh thā
harf-zada huā to phir ek ḳhabar meñ gum huā
mauj-e-shafaq sarāb thī marg-e-nazar ḳhayāl thā
dā.era aab par rahā nuqta bhañvar meñ gum huā
mujh meñ the jitne aib vo mere qalam ne likh diye
mujh meñ thā jitnā husn vo mere hunar meñ gum huā
Top Urdushayar.com