Hakeem Manzoor

kuchh samajh aaya na aaya maine socha hai use

Hakeem Manzoor

kuchh samajh aayā na aayā maiñ ne sochā hai use
zehn par us ko utārā dil pe likkhā hai use
in dinoñ is shahr meñ ik fasl-e-ḳhūñ kā raqs hai
ham bahut be-bas hue haiñ, maiñ ne likkhā hai use
dhuup ne hañs kar kahā dekhā tujhe pighlā diyā
barf kyā kahtī nafāsat ne Duboyā hai use
baaġh meñ honā hī shāyad seb kī pahchān thī
ab ki vo bāzār meñ hai ab to biknā hai use
kal bhare bādal meñ kyā rañgoñ kā darvāza khulā
mujh ko kal tak thā ye da.avā maiñ ne samjhā hai use
ek shai jis ko umūman sirf dil kahte haiñ log
mar gayā hotā magar maiñ ne bachāyā hai use
karb dil kā mere lab par aa.egā 'manzūr' kyā
maiñ ne ḳhūn-e-dil se kāġhaz par utārā hai use
Top Urdushayar.com