ḳhud  apne-āp  se  milne  kā  maiñ  apnā  irāda  huuñ
maiñ  har  mausam  ko  sah  kar  bhī  abhī  tak  īstāda  huuñ
azal  se  māvarā  rañgoñ  se  huuñ  ye  merā  da.avā  hai
asās-e-rañg  par  jāñcho  na  mujh  ko  naqsh-e-sāda  huuñ
tirā  saaya  hai  ā.īna  chamakte  āftāboñ  kā
maiñ  apne  jism  meñ  be-paikarī  kā  ik  labāda  huuñ
mujhe  hairat,  maiñ  ik  nuqte  kī  sūrat  kis  tarah  simTā
ḳhalā  hai  aañkh  merī  maiñ  samundar  se  kushāda  huuñ
mujhe  lagtī  hai  duniyā  ek  Thokar  apne  paañv  kī
maiñ  jaane  kaisī  ujḌī  saltanat  kā  shāhzāda  huuñ
mujhe  lagte  haiñ  ḳhush  sab  seb  sūrat  aaj  bhī  'manzūr'
ki  maiñ  apne  kisī  ahd-e-shikasta  kā  i.aada  huuñ