Hakeem Manzoor

wo jo ab tak lams hai us lams ka paikar bane

Hakeem Manzoor

vo jo ab tak lams hai us lams kā paikar bane
merī ḳhvāhish bhī ajab hai aa.ina patthar bane
ik hisār-e-rañg meñ bas sochtā rahtā huuñ maiñ
kis tarah āñdhī havā kī zad pe koī ghar bane
rāste paañv baneñ to kaise tai hoñ rāste
niiñd kaise aa.egī jab jism hī bistar bane
ḳhūñ-bahā kis se talab ho kis ko qātil māniye
aap apnī soch hī jab zahr kā ḳhanjar bane
qatl ho jab tak na sūraj kā khilegī kaise shaam
rañg hī bikhre na to kaise koī manzar bane
ek muddat sāmnā ḳhud jin ko andhe-pan kā thā
raushnī milte hī ḳhud āñkhoñ ke saudā-gar bane
ḳhūn-e-dil meñ Duub jā.egā to lab par aa.egā
jis ko maiñ likhūñ vahī 'manzūr' harf-e-tar bane
Top Urdushayar.com