bhejtā  huuñ  har  roz  maiñ  jis  ko  ḳhvāb  koī  an-dekhā  sā
us  kī  āñkheñ  saarī  ḳhushbū  us  kā  badan  ā.īnā  sā
us  ne  bas  itnā  hī  pūchā  sabz  chīnār  ab  kitne  haiñ
sar  se  pā  tak  laraz  uThā  maiñ  dil  pe  girā  ik  sho.ala  sā
chaTTānoñ  ke  siine  par  bhī  khul  kar  jo  muskātā  hai
sar-mastī  kā  sar-chashma  hai  vo  ik  paudā  nanhā  sā
logo  lab  kholo  kuchh  bolo  jhelum  hai  maTiyālā  kyuuñ
maiñ  ne  jab  is  ko  dekhā  thā  ye  thā  ik  ā.īnā  sā
barf  shagūfoñ  ke  mausam  meñ  kaash  ik  baar  aa  jaate  tum
mere  ḳhatoñ  kī  ḳhushbuoñ  kā  hotā  kuchh  andāzā  sā
phir  bhī  ai  'manzūr'  kisī  par  haath  na  ab  tak  uTThā  merā
laḌne  kā  fan  siikh  liyā  hai  go  maiñ  ne  bhī  thoḌā  sā