Hakeem Manzoor

mere wajud ki duniya mein hai asar kis ka

Hakeem Manzoor

mire vajūd kī duniyā meñ hai asar kis kā
maiñ jāntā hī nahīñ huuñ maiñ ham-safar kis kā
na mujh pe tanz karo dosto ki be-ghar huuñ
tumhīñ kaho ki hai tum meñ se apnā ghar kis kā
is ik savāl kā sūraj bhī de sakā na javāb
maiñ sirf saaya nahīñ ruup huuñ magar kis kā
jo mere paas thā sab luuT le gayā koī
kivāḌ band rakhūñ ab mujhe hai Dar kis kā
har ek shaḳhs rahā mahv-e-shaġhl-e-sañg-zanī
kise paḌī thī ki dekhe uḌā hai sar kis kā
ye aur baat sazā us ko mil ga.ī varna
chalā hai zor dil-e-nā-subūr par kis kā
tumhārī baat alag hai vagarna ai 'manzūr'
bachā hai ab bhī savād-e-dil-o-nazar kis kā
Top Urdushayar.com