Hakeem Manzoor

aziyyaton ko kisi tarah kam na kar paya

Hakeem Manzoor

aziyyatoñ ko kisī tarah kam na kar paayā
meñ apne haath abhī tak qalam na kar paayā
havāle laakh dalīl ek bhī na de shāyad
nazar meñ kyuuñ kisī manzar ko zam na kar paayā
hai be-tarāsh abhī dast-e-zehn meñ ik naqsh
ki is ke rañg ko maiñ ham-qalam na kar paayā
hai sharm tishna-labī us kī jis se bujh jaatī
meñ itnā ḳhūn-e-jigar kyuuñ baham na kar paayā
tahī-e-samar mire dāman ko hī Thaharnā thā
maiñ mausamoñ ke qasīde raqam na kar paayā
tarāvatoñ se bharā lafz dars hai jis kā
isī se ḳhud ko abhī tak vo kam na kar paayā
savāl-e-sañg thā sarzad pa thā mirā manzūr
maiñ chup rahā ki maiñ ḳhud par sitam na kar paayā
Top Urdushayar.com