buto  ye  shīsha-e-dil  toḌ  do  ḳhudā  ke  liye
jo  sañg-dil  ho  to  kyā  chāhiye  jafā  ke  liye
savāl  yaar  se  kaisā  kamāl-e-ulfat  kā
ki  ibtidā  bhī  to  hai  shart  intihā  ke  liye
ḳhudā  se  tujh  ko  sanam  māñgte  to  mil  jaatā
magar  adab  ne  ijāzat  na  dī  duā  ke  liye
azāb-e-ātish-e-furqat  se  kāñptā  thā  dil
hazār  shukr  jahannam  milā  sazā  ke  liye
na  dil  lagā  ke  huā  mujh  se  ishq  meñ  parhez
bigaḌ  gayā  jo  kisī  ne  kahā  davā  ke  liye
milā  unheñ  bhī  talavvun  mujhe  bhī  yak-rañgī
ḳhusūsiyat  na  rahī  sarsar  o  sabā  ke  liye
ḳhudā  ne  kaam  diye  haiñ  judā  judā  sab  ko
sanam  jafā  ke  liye  haiñ  to  ham  vafā  ke  liye
jahāñ-navard  rahe  ham  talāsh-e-matlab  meñ
chale  na  ek  qadam  ġhair-e-mudda.ā  ke  liye
mushā.ira  meñ  paḌho  shauq  se  ġhazal  'bīmār'
ki  musta.id  haiñ  suḳhan-sanj  marhabā  ke  liye