kaun  barham  hai  zulf-e-jānāñ  se
tañg  huuñ  ḳhātir-e-pareshāñ  se
muzhda  ai  ḳhār-e-dasht  dast-e-junūñ
guzre  ham  dāman  o  garebāñ  se
daañt  kis  kā  hai  jaam  par  saaqī
mai  Tapaktī  hai  abr-e-naisāñ  se
gar  yahī  rañg  hai  zamāne  kā
baaz  aayā  maiñ  kufr  o  īmāñ  se
baiTh  jaatā  hai  aa  ke  mere  paas
jo  nikaltā  hai  bazm-e-jānāñ  se
huur  āshiq-navāz  hai  koī
pahle  pūchheñge  ham  ye  rizvāñ  se