dam  na  niklā  yaar  kī  nā-mehrbānī  dekh  kar
saḳht  hairāñ  huuñ  maiñ  apnī  saḳht-jānī  dekh  kar
shaam  se  tā-sub.h-e-furqat  sub.h  se  tā-shām-e-hijr
ham  chale  kyā  kyā  na  lutf-e-zindagānī  dekh  kar
yuuñ  to  lākhoñ  ġham-zada  hoñge  magar  ai  āsmāñ
jab  tujhe  jānūñ  ki  lā  de  merā  saanī  dekh  kar
ab  tap-e-furqat  se  ye  kuchh  zof  taarī  hai  ki  aah
dañg  rah  jaatī  hai  ham  ko  nā-tavānī  dekh  kar
vāste  jis  ke  hue  bahr-e-fanā  ke  āshnā
vo  pasījā  bhī  na  apnī  jāñ-fishānī  dekh  kar
baaz  aa  'bīmār'  us  ke  ishq  se  jaane  bhī  de
taras  aatā  hai  ye  terī  naujavānī  dekh  kar