daḳhl  har  dil  meñ  tirā  misl-e-suvaidā  ho  gayā
al-amāñ  ai  zulf-e-ālam-gīr  saudā  ho  gayā
go  paḌā  rahtā  huuñ  āb-e-ashk  meñ  misl-e-habāb
sozish-e-dil  se  magar  sab  jism  chhālā  ho  gayā
ai  shah-e-ḳhūbāñ  tasavvur  se  tire  ruḳhsār  ke
chashm  kā  pardā  be-ainihī  lāl-e-pardā  ho  gayā
farq-e-rindān-o-malā.ik  ab  bahut  dushvār  hai
mai-kada  us  ke  qadam  se  raushan  aisā  ho  gayā
dāna-e-añgūr  aḳhtar  chāndnī  mai  maah  jaam
nasr-e-tā.er  bat  qarābā  charḳh  miinā  ho  gayā
sunte  haiñ  taa.ib  huā  us  but  ke  ghar  jaane  se  tū
kyā  tirā  'bīmār'  patthar  kā  kalejā  ho  gayā