Sheikh Bimar Ali Bakhsh

na kaho etibar hai kis ka

Sheikh Bimar Ali Bakhsh

Bareilly, Uttar pradesh, India

1789-1854
na kaho e'tibār hai kis kā
bevafā.ī shi.ār hai kis kā
ai ajal shām-e-hijr aa pahuñchī
ab tujhe intizār hai kis kā
ishq se maiñ ḳhabar nahīñ yā rab
dāġh-e-dil yādgār hai kis kā
dil jo zālim nahīñ tirī jāgīr
to ye ujḌā dayār hai kis kā
mohtasib pūchh mai-parastoñ se
naam āmarz-gār hai kis kā
bazm meñ vo nahīñ uThāte aañkh
dekhnā nāgavār hai kis kā
pahne phirtā hai mātamī poshāk
āsmāñ sogvār hai kis kā
chain se so raho gale lag kar
shauq be-iḳhtiyār hai kis kā
aap sā sab ko vo samajhte haiñ
mo'tabar inkisār hai kis kā
yaar ke bas meñ hai ummīd-e-visāl
yaar par iḳhtiyār hai kis kā
aap 'bīmār' ham hue rusvā
sar-nigūñ rāzdār hai kis kā
Top Urdushayar.com