na  kaho  e'tibār  hai  kis  kā
bevafā.ī  shi.ār  hai  kis  kā
ai  ajal  shām-e-hijr  aa  pahuñchī
ab  tujhe  intizār  hai  kis  kā
ishq  se  maiñ  ḳhabar  nahīñ  yā  rab
dāġh-e-dil  yādgār  hai  kis  kā
dil  jo  zālim  nahīñ  tirī  jāgīr
to  ye  ujḌā  dayār  hai  kis  kā
mohtasib  pūchh  mai-parastoñ  se
naam  āmarz-gār  hai  kis  kā
bazm  meñ  vo  nahīñ  uThāte  aañkh
dekhnā  nāgavār  hai  kis  kā
pahne  phirtā  hai  mātamī  poshāk
āsmāñ  sogvār  hai  kis  kā
chain  se  so  raho  gale  lag  kar
shauq  be-iḳhtiyār  hai  kis  kā
aap  sā  sab  ko  vo  samajhte  haiñ
mo'tabar  inkisār  hai  kis  kā
yaar  ke  bas  meñ  hai  ummīd-e-visāl
yaar  par  iḳhtiyār  hai  kis  kā
aap  'bīmār'  ham  hue  rusvā
sar-nigūñ  rāzdār  hai  kis  kā