kaun  duniyā  se  bāda-ḳhvār  uThā
chashm-e-tar  abr-e-nau-bahār  uThā
khā  ke  ġhash  gir  paḌe  khaḌe  baiThe
baiTh  kar  is  adā  se  yaar  uThā
ātish-e-ishq  dekh  kar  mālik
al-amāñ  al-amāñ  pukār  uThā
dard  tāzīm-e-marg  ko  dil  meñ
shab-e-furqat  hazār  baar  uThā
jīte-jī  daur-e-āsmānī  meñ
na  zamīñ  se  ye  ḳhāksār  uThā
abr-e-rahmat  ne  de  diyā  chhīñTā
baad  marne  ke  jab  ġhubār  uThā
vahshat-e-dil  ne  phir  nikāle  paañv
phir  tahammul  kā  iḳhtiyār  uThā
phir  junūñ  fasl-e-gul  meñ  laayā  rañg
phir  maiñ  hone  ko  sharmsār  uThā
hāl-e-'bīmār'  jā-e-riqqat  hai
marham-e-dil  kā  e'tibār  uThā
chor  zaḳhm-e-jigar  meñ  baiTh  gayā
chārāgar  ho  ke  sharmsār  uThā