kyā  kyā  na  tere  sadme  se  bād-e-ḳhizāñ  girā
gul  barg  sarv  fāḳhta  kā  āshiyāñ  girā
likhne  lagī  qazā  jo  hamārī  fatādgī
sau  baar  haath  se  qalam-e-do-zabāñ  girā
jab  pahuñche  ham  kināra-e-maqsūd  ke  qarīb
tab  nāḳhudā  jahāñ  se  uThā  bādbāñ  girā
mūbāf-e-surḳh  choTī  se  kyā  un  kī  khul  paḌā
ek  sā.iqa  sā  dil  pe  mire  nā-gahāñ  girā
tā  āsmāñ  pahuñch  ke  huī  aah  sar-nigūñ
yā  rab  ho  ḳhair  fauj-e-alam  kā  nishāñ  girā
uTh  kar  chalā  jo  paas  se  un  ke  to  ghar  talak
har  har  qadam  pe  zof  se  maiñ  nā-tavāñ  girā
dekhā  jo  dasht-e-najd  meñ  hāl-e-tabāh-e-qais
mahmil  se  lailā  kuud  paḌī  sār-bāñ  girā
dozaḳh  pe  kyuuñ  na  ho  dil-e-'bīmār'  tāna-zan
ātish  se  ishq  kī  hai  patiñgā  yahāñ  girā