fasl-e-gul  saath  liye  baaġh  meñ  kyā  aatī  hai
bulbul-e-naġhma-sarā  rū-ba-qazā  aatī  hai
dil  dhaḌaktā  hai  ye  kahte  hue  us  mahfil  meñ
yaañ  kisī  ko  ḳhafaqāñ  kī  bhī  davā  aatī  hai
aaj  vo  shoḳh  hai  aur  kasrat-e-ārā.ish  hai
dekh  kis  vāste  pisne  ko  hinā  aatī  hai
kyā  khule  baaġh  meñ  vo  chashm-e-hijāb-ālūda
aañkh  uThāte  hue  nargis  ko  hayā  aatī  hai
jāñ-kanī  husn-parastoñ  ko  girāñ  kyā  guzre
bhes  meñ  hūr-e-bahishtī  ke  qazā  aatī  hai
is  liye  rashk-e-chaman  baaġh  meñ  gul  hañste  haiñ
ki  uḌātī  tirī  raftār  sabā  aatī  hai
maraz-e-ishq  se  'bīmār'  jo  ghabrātā  hai
yaar  kahtā  hai  mujhe  ḳhuub  davā  aatī  hai