Bekhud Dehlvi

wo sun kar hur ki tarif parde se nikal aae

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
vo sun kar huur kī tārīf parde se nikal aa.e
kahā phir muskurā kar husn-e-zebā is ko kahte haiñ
ajal kā naam dushman dūsre ma.anī meñ letā hai
tumhāre chāhne vaale tamannā is ko kahte haiñ
mire madfan pe kyuuñ rote ho āshiq mar nahīñ saktā
ye mar jaanā nahīñ hai sabr aanā is ko kahte haiñ
namak bhar kar mire zaḳhmoñ meñ tum kyā muskurāte ho
mire zaḳhmoñ ko dekho muskurānā is ko kahte haiñ
zamāne se adāvat kā sabab thī dostī jin kī
ab un ko dushmanī hai ham se duniyā is ko kahte haiñ
dikhāte ham na ā.īna to ye kyuuñ kar nazar aatā
bashar hūroñ se achchhā tum ne dekhā is ko kahte haiñ
Top Urdushayar.com