Bekhud Dehlvi

sham-e-mazar thi na koi sogwar tha

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
sham-e-mazār thī na koī sogvār thā
tum jis pe ro rahe the ye kis kā mazār thā
taḌpūñgā umr-bhar dil-e-marhūm ke liye
kam-baḳht nā-murād laḌakpan kā yaar thā
saudā-e-ishq aur hai vahshat kuchh aur shai
majnūñ kā koī dost fasāna-nigār thā
jaadū hai yā tilism tumhārī zabān meñ
tum jhuuT kah rahe the mujhe e'tibār thā
kyā kyā hamāre sajde kī rusvā.iyāñ huiiñ
naqsh-e-qadam kisī kā sar-e-rahguzār thā
is vaqt tak to vaz.a meñ aayā nahīñ hai farq
terā karam sharīk jo parvardigār thā
Top Urdushayar.com