bechne  aa.e  koī  kyā  dil-e-shaidā  le  kar
daam  dete  hī  nahīñ  aap  to  saudā  le  kar
chaar  din  bhī  to  na  rakkhā  dil-e-shaidā  le  kar
aap  ne  ham  se  bhī  kam-baḳht  ko  khoyā  le  kar
qatl  ke  ba.ad  nazākat  se  jo  thak  jaate  haiñ
baiTh  jaate  haiñ  vo  kushte  kā  sahārā  le  kar
ġhair  kā  qatl  kuchh  aisā  to  nahīñ  hai  mushkil
chhoḌ  do  haath  koī  naam  hamārā  le  kar
saañs  ke  saath  jo  hotī  hai  khaTak  siine  meñ
zo.af  se  dard  bhī  uThtā  hai  sahārā  le  kar
aa  gayā  mujh  ko  nazar  apnī  vafā  kā  anjām
maiñ  ne  talvār  ko  qātil  se  jo  dekhā  le  kar
ab  to  'beḳhud'  ko  ye  da.avā  hai  ba-qaul-e-ustād
aadmī  ishq  kare  naam  hamārā  le  kar