Bekhud Dehlvi

aa gae phir tere arman miTane hum ko

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955

aa ga.e phir tire armān miTāne ham ko

dil se pahle ye lagā deñge Thikāne ham ko

sar uThāne na diyā hashr ke din bhī zālim

kuchh tire ḳhauf ne kuchh apnī vafā ne ham ko

kuchh to hai zikr se dushman ke jo sharmāte haiñ

vahm meñ Daal diyā un hayā ne ham ko

zulm shauq bhī hai sharm bhī hai ḳhauf bhī hai

ḳhvāb meñ chhup ke vo aate haiñ satāne ham ko

chaar dāġhoñ pe na ehsān jatāo itnā

kaun se baḳhsh diye tum ne ḳhazāne ham ko

baat karne kahāñ vasl meñ fursat 'beḳhud'

vo to dete nahīñ hosh meñ aane ham ko

Top Urdushayar.com