Bekhud Dehlvi

KHuda rakkhe tujhe meri burai dekhne wale

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
ḳhudā rakkhe tujhe merī burā.ī dekhne vaale
vafādārī meñ tarz-e-bevafā.ī dekhne vaale
sambhal ab nāla-e-dil kī rasā.ī dekhne vaale
qayāmat Dhā.eñge roz-e-judā.ī dekhne vaale
tire ḳhanjar ko bhī terī tarah hasrat se takte haiñ
tirī nāzuk kamar nāzuk kalā.ī dekhne vaale
jhijak kar ā.īne meñ aks se apne vo kahte haiñ
yahāñ bhī aa ga.e sūrat parā.ī dekhne vaale
palak jhapkī ki dil ġhā.eb baġhal ḳhālī nazar aa.ī
tirī nazroñ kī dekheñge safā.ī dekhne vaale
inhīñ āñkhoñ se tū ne nek-o-bad aalam kā dekhā hai
idhar to dekh ai saarī ḳhudā.ī dekhne vaale
gire ġhash khā ke jab muusā kahā barq-e-tajallī ne
qayāmat tak na degā vo dikhā.ī dekhne vaale
mirī mayyat pe ban aa.ī hai un kī sab se kahte haiñ
vafādāroñ kī dekheñ bevafā.ī dekhne vaale
nazar miltī hai pīchhe pahle tantī haiñ bhañveñ un kī
kahāñ tak dekhe jaa.eñ kaj-adā.ī dekhne vaale
miTā inkār to hujjat ye niklī muñh dikhāne meñ
ki pahle jam.a kar deñ rū-numā.ī dekhne vaale
kahāñ tak ro.eñ qismat ke likhe ko bas ulaT parda
tujhe dekheñge ab terī ḳhudā.ī dekhne vaale
kabhī qadmoñ meñ thā ab un ke dil meñ hai jagah merī
mujhe dekheñ muqaddar kī rasā.ī dekhne vaale
koī itnā nahīñ jo aa ke pūchhe hijr meñ 'beḳhud'
tirā kyā haal hai ranj-e-judā.ī dekhne vaale
Top Urdushayar.com