aap  haiñ  be-gunāh  kyā  kahnā
kyā  safā.ī  hai  vaah  kyā  kahnā
us  se  hāl-e-tabāh  kyā  kahnā
jo  kahe  sun  ke  vaah  kyā  kahnā
hashr  meñ  ye  unheñ  na.ī  sūjhī
ban  ga.e  dād-ḳhvāh  kyā  kahnā
uzr  karnā  sitam  ke  baad  tumheñ
ḳhuub  aatā  hai  vaah  kyā  kahnā
tum  na  roko  nigāh  ko  apnī
ham  kareñ  zabt-e-āh  kyā  kahnā
tujh  se  achchhe  kahāñ  zamāne  meñ
vaah  ai  rashk-e-māh  kyā  kahnā
ġhair  par  lutf-e-ḳhās  kā  iz.hār
mujh  se  TeḌhī  nigāh  kyā  kahnā
ġhair  se  maañg  kar  subūt-e-vafā
ban  ga.e  ḳhud  gavāh  kyā  kahnā
dil  bhī  le  kar  nahīñ  yaqīn-e-vafā
hai  abhī  ishtibāh  kyā  kahnā
balbe  chitvan  tirī  ma.āz-allāh
uf  re  TeḌhī  nigāh  kyā  kahnā
un  gunoñ  par  najāt  kī  ummīd
'be-ḳhud'-e-rū-siyāh  kyā  kahnā