Nikita Pareek

laKHt-e-dil bikhra jidhar bhi naqsh-e-jaanan ban gaya

Nikita Pareek

Churu, Rajasthan, India

1998

laḳht-e-dil bikhrā jidhar bhī naqsh-e-jānāñ ban gayā

ġham izāfe ke liye jaise ki sāmāñ ban gayā

ḳhat jigar ghāyal kare aur phuul Dhaa.e hai sitam

zaḳhm ya.anī ik kurede ik namak-dāñ ban gayā

sirf ik dil milā thā ik sitam ye huā

aur phir ye bhī sitam vo pareshāñ ban gayā

dil kareñ dil maiñ banā.ūñ nuur se ḳhurshed ke

kyā musībat hai kahāñ se ab ye armāñ ban gayā

mas.ala ro.eñge kis ko kyā kareñge ġham sabhī

is jahāñ meñ 'gīt' gar ye ishq āsāñ ban gayā

Top Urdushayar.com