hijr  lāzim  hai  to  ye  hijr  nibhā.e  jaao
jā  rahe  ho  to  koī  rabt  banā.e  jaao
jo  bhī  is  dil  pe  guzartī  hai  raqam  karte  raho
kaise  mumkin  hai  kitābo  se  bhulā.e  jaao
shāyad  ye  tarz  kisī  ruuh  meñ  ghar  kar  jaa.e
ain  mumkin  hai  kisī  dil  meñ  basā.e  jaao
ye  mirī  raat  bhī  ummīd  lagā.e  hue  hai
us  ke  dāman  se  koī  sub.h  lagā.e  jaao
guftugū  karte  agar  saath  meñ  hote  kuchh  der
jaate  jaate  mujhe  ik  sher  sunā.e  jaao
merī  taḳhlīq  ko  āvāz  banā  do  'māham'
merī  tahrīr  kī  ḳhāmoshī  miTā.e  jaao