nā-ehtirām  kā  bas  ehtirām  kar  baiThe
ham  apne  karb  kā  ḳhud  intizām  kar  baiThe
unheñ  to  aanā  hī  kab  thā  hamārī  bastī  meñ
hazār  tarah  ke  ham  ehtimām  kar  baiThe
ye  be-ruḳhī  kā  ajab  silsila  to  tab  se  hai
vo  guzre  raah  se  aur  ham  salām  kar  baiThe
ḳhamosh  tab.a  the  dāman  bachā  ke  chal  diye  vo
aur  ham  nasīb  ke  maare  kalām  kar  baiThe
lagāo  aas  nā  ummīd  rakkho  tum  'māham'
bujhāo  sham.a  vo  qissa  tamām  kar  baiThe