mohabbat  ho  ga.ī  jis  ko  use  ab  dekhnā  kyā  hai
bhalā  kyā  hai  burā  kyā  hai  sazā  kyā  hai  jazā  kyā  hai
zarā  tum  sāmne  aao  nazar  ham  se  to  Takrāv
kise  phir  hosh  ho  tum  ne  kahā  kyā  hai  sunā  kyā  hai
mohabbat  jurm  aisā  hai  ki  mujrim  hai  khaḌā  be-sudh
kiyā  kyā  hai  gunah  kyā  hai  sazā  kyā  hai  ḳhatā  kyā  hai
na  aanā  ishq  ke  bāzār  meñ  andhī  tijārat  hai
diyā  kyā  hai  liyā  kyā  hai  bikā  kyā  hai  bachā  kyā  hai
zamāna  jhuum  uTThā  hai  sadā-e-dād  aatī  hai
na  jaane  aaj  'māham'  ne  ġhazal  meñ  kah  diyā  kyā  hai