dard-e-dil  kaun  āzmātā  hai
kaun  be-chainiyāñ  baḌhātā  hai
raat  bhar  jāgte  rahe  ho  tum
jaane  kyā  ġham  tumheñ  satātā  hai
hañste  hañste  jo  rone  lagte  ho
kuchh  kaho  kaun  yaad  aatā  hai
jis  nujūmī  ne  thī  hathelī  paḌhī
kyā  muqaddar  bhī  vo  jagātā  hai
jise  karnā  ho  koī  vāda-vafā
to  vo  phir  lauT  kar  bhī  aatā  hai
kūcha-e-husn  to  gayā  sālim
par  ye  dil  TuuT  kar  hī  aatā  hai
maan  letī  huuñ  us  kā  kahnā  bhī
jaane  phir  ruuTh  ke  kyoñ  jaatā  hai