kyā  sunā.ūñ  dil-e-muztar  kā  fasāna  tum  ko
maiñ  ne  chāhā  thā  kabhī  ek  zamāna  tum  ko
ye  jo  tum  eid  pe  bhī  aate  nahīñ  lauT  ke  ghar
koī  chhuTTī  kā  nahīñ  hotā  bahāna  tum  ko
bistar-e-marg  pe  maañ  thī  to  na  the  sāmne  tum
bahut  hī  mahñgā  paḌā  hai  chale  jaanā  tum  ko
gaañv  ke  kachche  makānoñ  meñ  ye  pakke  rishte
raas  aa.egā  nahīñ  shahr  kā  khānā  tum  ko
har  mahīne  ye  na.e  note  ye  ḳhat  kyā  matlab
na  manāo  nahīñ  aatā  hai  manānā  tum  ko
ek  kamra  hai  kirā.e  kā  ye  bāzārī  ġhizā
shahr  meñ  kaise  mile  shāhī  Thikāna  tum  ko
āḳhirī  ḳhat  ko  paḌho  us  meñ  milegā  'māham'
bhuul  jaane  kā  use  koī  bahāna  tum  ko