rasm  hai  ye  duniyā  kī  khel  hai  ye  qismat  kā
chāhte  jise  ham  haiñ  vo  nahīñ  hai  chāhat  kā
jis  ne  hijr  kaaTā  hai  bas  vo  jaan  saktā  hai
zaḳhm  sil  nahīñ  saktā  dard  hai  vo  shiddat  kā
aañkh  mar  to  jaatī  hai  jiine  kī  tamannā  meñ
aur  vo  nahīñ  martā  jo  hai  ḳhvāb  hasrat  kā
jo  likhā  lakīroñ  meñ  us  ko  puurā  honā  hai
vaqt  Tal  nahīñ  saktā  har  ghaḌī  musībat  kā
sirf  qasmeñ  va.ade  haiñ  aur  vaqt  paḌne  par
saath  bhī  nahīñ  detā  ab  koī  mohabbat  kā